duniya se tan ko Dhanp qayamat se jaan ko
duniyā se tan ko Dhāñp qayāmat se jaan ko
do chādareñ bahut haiñ tirī ān-bān ko
ik maiñ hī rah gayā huuñ kiye sar ko bār-e-dosh
kyā pūchhte ho bhaa.ī mire ḳhāndān ko
jis din se apne chāk-e-garebāñ kā shor hai
taale lagā ga.e haiñ rafūgar dukān ko
filhāl dil pe dil to liye jā rahe ho tum
aur jo hisāb bhuul gayā kal-kalān ko
dil meñ se chun ke ham bhī koī ġhuncha ai nasīm
bhejeñge tere haath kabhī gulsitān ko
mashġhūl haiñ safā.ī-o-tausi-e-dil meñ ham
tañgī na is makān meñ ho mehmān ko
duniya se tan ko Dhanp qayamat se jaan ko
do chadaren bahut hain teri aan-ban ko
ek main hi rah gaya hun kiye sar ko bar-e-dosh
kya puchhte ho bhai mere KHandan ko
jis din se apne chaak-e-gareban ka shor hai
tale laga gae hain rafugar dukan ko
filhaal dil pe dil to liye ja rahe ho tum
aur jo hisab bhul gaya kal-kalan ko
dil mein se chun ke hum bhi koi ghuncha ai nasim
bhejenge tere hath kabhi gulsitan ko
mashghul hain safai-o-tausi-e-dil mein hum
tangi na is makan mein ho mehman ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.