Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya ka ye eazaz ye inam bahut hai

Mazhar Imam

duniya ka ye eazaz ye inam bahut hai

Mazhar Imam

duniyā ye e.azāz ye in.aam bahut hai

mujh par tire ikrām ilzām bahut hai

is umr meñ ye moḌ achānak ye mulāqāt

ḳhush-gām abhī gardish-e-ayyām bahut hai

bujhtī huī sub.heñ hoñ ki jaltī huī rāteñ

tujh se ye mulāqāt sar-e-shām bahut hai

maiñ marhamat-e-ḳhās ḳhvāhāñ bhī nahīñ huuñ

mere liye terī nigah-e-ām bahut hai

kamyāb kiyā hai use bāzār-e-talab ne

ham the to vo arzāñ thā par ab daam bahut hai

us ghar badaulat mire sheroñ ko hai shohrat

vo ghar ki jo is shahr meñ badnām bahut hai

duniya ka ye eazaz ye inam bahut hai

mujh par tere ikram ka ilzam bahut hai

is umr mein ye moD achanak ye mulaqat

KHush-gam abhi gardish-e-ayyam bahut hai

bujhti hui subhen hon ki jalti hui raaten

tujh se ye mulaqat sar-e-sham bahut hai

main marhamat-e-KHas ka KHwahan bhi nahin hun

mere liye teri nigah-e-am bahut hai

kamyab kiya hai use bazar-e-talab ne

hum the to wo arzan tha par ab dam bahut hai

us ghar ki badaulat mere sheron ko hai shohrat

wo ghar ki jo is shahr mein badnam bahut hai

Source :
  • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 103)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now