Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja

Qasim Ali Khan Afridi

ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja

Qasim Ali Khan Afridi

ye musht-e-ḳhāk apne ko jahāñ chāhe tahāñ le

par is 'ālam ko is 'ālam se mat bār-e-garāñ le

'adam se jis tarah tanhā chalā aayā thā phir vaañ ko

munāsib hai isī sūrat se sūrat chhoḌ jaañ le

kudūrat mā-sivā dho le ḳhātir-ḳhvāh ḳhātir se

ba-juz nām-e-ḳhudā hamrāh mat nām-o-nishāñ le

azīz-o-aqribā ne māl-o-milkiyyat ba-kār aave

kisī dostī ai dilā hasrat na vaañ le

gadā.ī bādshāhī bhī masāvī vaqt marne ke

tayaqqun kar suḳhan merī par hargiz mat gumāñ le

isī duniyā meñ duniyā se kināra kar jo 'āqil hai

mohabbat phir kisī shai na saath ai mehrbāñ le

na koī le gayā kuchh aur na le jaave koī hargiz

yaqīñ gor-o-kafan milne pe kyā tashkīk haañ le

ga.ī bāġh-e-jahāñ se ḳhalq ḳhālī haath le par

bahār-e-zindagī se zikr gul be-ḳhizāñ le

bakheḌā yaañ yaañ par chhoḌ 'afrīdī' 'adam āḳhir

na ye dard-o-balā ranj-o-alam āh-o-fuġhāñ le

ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja

par is 'alam ko is 'alam se mat bar-e-garan le ja

'adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir wan ko

munasib hai isi surat se surat chhoD jaan le ja

kudurat ma-siwa ki dho le KHatir-KHwah KHatir se

ba-juz nam-e-KHuda hamrah mat nam-o-nishan le ja

aziz-o-aqriba ne mal-o-milkiyyat ba-kar aawe

kisi ki dosti ki ai dila hasrat na wan le ja

gadai baadshahi bhi masawi waqt marne ke

tayaqqun kar suKHan meri par hargiz mat guman le ja

isi duniya mein duniya se kinara kar jo 'aqil hai

mohabbat phir kisi shai ki na sath ai mehrban le ja

na koi le gaya kuchh aur na le jawe koi hargiz

yaqin gor-o-kafan milne pe kya tashkik han le ja

gai bagh-e-jahan se KHalq KHali hath le par tu

bahaar-e-zindagi se zikr ka gul be-KHizan le ja

bakheDa yan ka yan par chhoD 'afridi' 'adam aaKHir

na ye dard-o-bala ranj-o-alam aah-o-fughan le ja

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now