Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun

Akbar Allahabadi

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun

Akbar Allahabadi

duniyā meñ huuñ duniyā talabgār nahīñ huuñ

bāzār se guzrā huuñ ḳharīdār nahīñ huuñ

zinda huuñ magar ziist lazzat nahīñ baaqī

har-chand ki huuñ hosh meñ hushyār nahīñ huuñ

is ḳhāna-e-hastī se guzar jā.ūñgā be-laus

saaya huuñ faqat naqsh-ba-dīvār nahīñ huuñ

afsurda huuñ ibrat se davā nahīñ hājat

ġham mujhe ye zo.af hai bīmār nahīñ huuñ

vo gul huuñ ḳhizāñ ne jise barbād kiyā hai

uljhūñ kisī dāman se maiñ vo ḳhaar nahīñ huuñ

rab mujhe mahfūz rakh us but ke sitam se

maiñ us ināyat talabgār nahīñ huuñ

go dāva-e-taqvā nahīñ dargāh-e-ḳhudā meñ

but jis se hoñ ḳhush aisā gunahgār nahīñ huuñ

afsurdagī o zo.af kuchh had nahīñ 'akbar'

kāfir ke muqābil meñ bhī dīñ-dār nahīñ huuñ

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun

bazar se guzra hun KHaridar nahin hun

zinda hun magar zist ki lazzat nahin baqi

har-chand ki hun hosh mein hushyar nahin hun

is KHana-e-hasti se guzar jaunga be-laus

saya hun faqat naqsh-ba-diwar nahin hun

afsurda hun ibrat se dawa ki nahin hajat

gham ka mujhe ye zoaf hai bimar nahin hun

wo gul hun KHizan ne jise barbaad kiya hai

uljhun kisi daman se main wo KHar nahin hun

ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se

main us ki inayat ka talabgar nahin hun

go dawa-e-taqwa nahin dargah-e-KHuda mein

but jis se hon KHush aisa gunahgar nahin hun

afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar'

kafir ke muqabil mein bhi din-dar nahin hun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Kundan Lal Saigal

Kundan Lal Saigal

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now