donoñ ke jo darmiyāñ ḳhalā hai
ye asl meñ koī tīsrā hai
tujh bin ye mirā vajūd kyā hai
ik peḌ hai aur khokhlā hai
ik chaap sunā.ī de rahī hai
darvāze se vo palaT gayā hai
vo ek din intizār kā din
phir zindagī bhar vo din rahā hai
ta.abīr batā.ī jā chukī hai
ab aañkh ko ḳhvāb dekhnā hai
bas dhund nigal chukī hai ye raat
nazzāra tamām ho chukā hai
donon ke jo darmiyan KHala hai
ye asl mein koi tisra hai
tujh bin ye mera wajud kya hai
ek peD hai aur khokhla hai
ek chap sunai de rahi hai
darwaze se wo palaT gaya hai
wo ek din intizar ka din
phir zindagi bhar wo din raha hai
tabir batai ja chuki hai
ab aankh ko KHwab dekhna hai
bas dhund nigal chuki hai ye raat
nazzara tamam ho chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.