din chhupa aur gham ke sae Dhale
din chhupā aur ġham ke saa.e Dhale
aarzū ke na.e charāġh jale
ham badalte haiñ ruḳh havāoñ kā
aa.e duniyā hamāre saath chale
lab pe hichkī bhī hai tabassum bhī
jaane ham kis se mil rahe haiñ gale
dil ke in hausloñ kā haal na pūchh
jo tire dāman-e-karam meñ pale
kaun yaad aa gayā azaañ ke vaqt
bujhtā jaatā hai dil charāġh jale
maslahat sar-nigūñ ḳhirad ḳhāmosh
ishq ke aage kis kī daal gale
din chhupa aur gham ke sae Dhale
aarzu ke nae charagh jale
hum badalte hain ruKH hawaon ka
aae duniya hamare sath chale
lab pe hichki bhi hai tabassum bhi
jaane hum kis se mil rahe hain gale
dil ke in hauslon ka haal na puchh
jo tere daman-e-karam mein pale
kaun yaad aa gaya azan ke waqt
bujhta jata hai dil charagh jale
maslahat sar-nigun KHirad KHamosh
ishq ke aage kis ki dal gale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.