Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di

Farhat Ehsas

dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di

Farhat Ehsas

dil ne imdād kabhī hasb-e-zarūrat nahīñ

dasht meñ aql na shahr meñ vahshat nahīñ

ishq aaj bhī hai kis ke lahū se sarsabz

kis muhim ke liye ham ne tujhe ujrat nahīñ

dhuup bolī ki maiñ ābā.ī vatan huuñ terā

maiñ ne phir sāya-e-dīvār ko zahmat nahīñ

ishq meñ ek baḌā zulm hai sābit-qadamī

vaqt ne bhī hameñ is baab meñ qudrat nahīñ

sar salāmat liye lauT aa.e galī se us

yaar ne ham ko koī Dhañg ḳhidmat nahīñ

kaun aisī ḳhushī hai jo milī ho ik baar

aur tā-umr hameñ jis ne aziyyat nahīñ

ahl-e-dil ne kabhī maḳhlūt hukūmat na banā.ī

aql vāloñ ne bhī be-shart himāyat nahīñ

'farhat-ehsās' to ham ḳhud bane haiñ varna

farhat-ullāh ne kabhī is ijāzat nahīñ

dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di

dasht mein aql na di shahr mein wahshat nahin di

ishq tu aaj bhi hai kis ke lahu se sarsabz

kis muhim ke liye hum ne tujhe ujrat nahin di

dhup boli ki main aabai watan hun tera

main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di

ishq mein ek baDa zulm hai sabit-qadami

waqt ne bhi hamein is bab mein qudrat nahin di

sar salamat liye lauT aae gali se us ki

yar ne hum ko koi Dhang ki KHidmat nahin di

kaun si aisi KHushi hai jo mili ho ek bar

aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di

ahl-e-dil ne kabhi maKHlut hukumat na banai

aql walon ne bhi be-shart himayat nahin di

'farhat-ehsas' to hum KHud hi bane hain warna

farhat-ullah ne kabhi is ki ijazat nahin di

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now