dil mein utregi to puchhegi junun kitna hai
dil meñ utregī to pūchhegī junūñ kitnā hai
nok-e-ḳhanjar hī batā.egī ki ḳhuuñ kitnā hai
āñdhiyāñ aa.iiñ to sab logoñ ko ma.alūm huā
parcham-e-ḳhvāb zamāne meñ nigūñ kitnā hai
jam.a karte rahe jo apne ko zarra zarra
vo ye kyā jāneñ bikharne meñ sukūñ kitnā hai
vo jo pyāse the samundar se bhī pyāse lauTe
un se pūchho ki sarāboñ meñ fusūñ kitnā hai
ek hī miTTī se ham donoñ bane haiñ lekin
tujh meñ aur mujh meñ magar fāsla yuuñ kitnā hai
dil mein utregi to puchhegi junun kitna hai
nok-e-KHanjar hi bataegi ki KHun kitna hai
aandhiyan aain to sab logon ko malum hua
parcham-e-KHwab zamane mein nigun kitna hai
jama karte rahe jo apne ko zarra zarra
wo ye kya jaanen bikharne mein sukun kitna hai
wo jo pyase the samundar se bhi pyase lauTe
un se puchho ki sarabon mein fusun kitna hai
ek hi miTTi se hum donon bane hain lekin
tujh mein aur mujh mein magar fasla yun kitna hai
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 289)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.