dil mein us shoKH ke jo rah na ki
dil meñ us shoḳh ke jo raah na kī
ham ne bhī jaan dī par aah na kī
parda-poshī zarūr thī ai charḳh
kyuuñ shab-e-bul-havas siyāh na kī
tishna-lab aise ham gire mai par
ki kabhī sair-e-īd-gāh na kī
us ko dushman se kyā bachā.e vo charḳh
jis ne tadbīr-e-ḳhasf-e-māh na kī
kaun aisā ki us se pūchhe kyuuñ
pursish-e-hāl dād-ḳhvāh na kī
thā bahut shauq-e-vasl tū ne to
kamī ai husn tāb-gāh na kī
ishq meñ kaam kuchh nahīñ aatā
gar na kī hirs-o-māl-o-jāh na kī
tāb-e-kam-zarf ko kahāñ tum ne
dushmanī kī adū se chaah na kī
maiñ bhī kuchh ḳhush nahīñ vafā kar ke
tum ne achchhā kiyā nibāh na kī
mohtasib ye sitam ġharīboñ par
kabhī tambīh-e-bādshāh na kī
girya-o-āh be-asar donoñ
kis ne kashtī mirī tabāh na kī
thā muqaddar maiñ us se kam milnā
kyuuñ mulāqāt gaah gaah na kī
dekh dushman ko uTh gayā be-dīd
mere ahvāl par nigāh na kī
'momin' is zehn-e-be-ḳhatā par haif
fikr-e-āmurzish-e-gunāh na kī
dil mein us shoKH ke jo rah na ki
hum ne bhi jaan di par aah na ki
parda-poshi zarur thi ai charKH
kyun shab-e-bul-hawas siyah na ki
tishna-lab aise hum gire mai par
ki kabhi sair-e-id-gah na ki
us ko dushman se kya bachae wo charKH
jis ne tadbir-e-KHasf-e-mah na ki
kaun aisa ki us se puchhe kyun
pursish-e-haal dad-KHwah na ki
tha bahut shauq-e-wasl tu ne to
kami ai husn tab-gah na ki
ishq mein kaam kuchh nahin aata
gar na ki hirs-o-mal-o-jah na ki
tab-e-kam-zarf ko kahan tum ne
dushmani ki adu se chah na ki
main bhi kuchh KHush nahin wafa kar ke
tum ne achchha kiya nibah na ki
mohtasib ye sitam gharibon par
kabhi tambih-e-baadshah na ki
girya-o-ah be-asar donon
kis ne kashti meri tabah na ki
tha muqaddar main us se kam milna
kyun mulaqat gah gah na ki
dekh dushman ko uTh gaya be-did
mere ahwal par nigah na ki
'momin' is zehn-e-be-KHata par haif
fikr-e-amurzish-e-gunah na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.