Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein murghan-e-chaman ke to guman aur hi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

dil mein murghan-e-chaman ke to guman aur hi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

dil meñ murġhān-e-chaman ke to gumāñ aur hai

par dil-e-zār andāz-e-fuġhāñ aur hai

qad-e-nau-ḳhez nahīñ āfat-e-jāñ aur hai

jis pe dil apnā gayā hai vo javāñ aur hai

ham jahāñ rahte haiñ yaaro vo jahāñ aur hai

vo jagah aur hai aur vo makāñ aur hai

shafaqī rañg pe mat bhūliyo apne ai abr

chashm-e-ḳhushk aur mizha-e-ashk-fishāñ aur hai

badan āġhushta-ba-ḳhūñ hone pe mauqūf nahīñ

zaḳhmī-e-nāvak-e-mizhgāñ nishāñ aur hai

go ki auroñ huiiñ surme se āñkheñ raushan

surma-e-bīnish-e-sāhib-nazarāñ aur hai

garche rakhte haiñ nazākat ye sabhī mū-kamrāñ

vo nazākat hai judī aur vo miyāñ aur hai

'mus.hafī' garche ye sab kahte haiñ ham se behtar

apnī par reḳhta-goī zabāñ aur hai

dil mein murghan-e-chaman ke to guman aur hi hai

par dil-e-zar ka andaz-e-fughan aur hi hai

qad-e-nau-KHez nahin aafat-e-jaan aur hi hai

jis pe dil apna gaya hai wo jawan aur hi hai

hum jahan rahte hain yaro wo jahan aur hi hai

wo jagah aur hi hai aur wo makan aur hi hai

shafaqi rang pe mat bhuliyo apne ai abr

chashm-e-KHushk aur mizha-e-ashk-fishan aur hi hai

badan aaghushta-ba-KHun hone pe mauquf nahin

zaKHmi-e-nawak-e-mizhgan ka nishan aur hi hai

go ki auron ki huin surme se aankhen raushan

surma-e-binish-e-sahib-nazaran aur hi hai

garche rakhte hain nazakat ye sabhi mu-kamran

wo nazakat hai judi aur wo miyan aur hi hai

'mushafi' garche ye sab kahte hain hum se behtar

apni par reKHta-goi ki zaban aur hi hai

Source :
  • Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 391)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now