dil ke sunsan jaziron ki KHabar laega
dil ke sunsān jazīroñ kī ḳhabar lā.egā
dard pahlū se judā ho ke kahāñ jā.egā
kaun hotā hai kisī kā shab-e-tanhā.ī meñ
ġham-e-furqat hī ġham-e-ishq ko bahalā.egā
chāñd ke pahlū meñ dam saadh ke rotī hai kiran
aaj tāroñ kā fusūñ ḳhaak nazar aa.egā
raag meñ aag dabī hai ġham-e-mahrūmī kī
raakh hokar bhī ye shola hameñ sulgā.egā
vaqt ḳhāmosh hai rūThe hue yāroñ kī tarah
kaun lau dete hue zaḳhmoñ ko sahlā.egā
zindagī chal ki zarā maut ke dam-ḳham dekheñ
varna ye jazba lahad tak hameñ le jā.egā
dil ke sunsan jaziron ki KHabar laega
dard pahlu se juda ho ke kahan jaega
kaun hota hai kisi ka shab-e-tanhai mein
gham-e-furqat hi gham-e-ishq ko bahalaega
chand ke pahlu mein dam sadh ke roti hai kiran
aaj taron ka fusun KHak nazar aaega
rag mein aag dabi hai gham-e-mahrumi ki
rakh hokar bhi ye shola hamein sulgaega
waqt KHamosh hai ruThe hue yaron ki tarah
kaun lau dete hue zaKHmon ko sahlaega
zindagi chal ki zara maut ke dam-KHam dekhen
warna ye jazba lahad tak hamein le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.