Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat

Amanat Lakhnavi

dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat

Amanat Lakhnavi

dikhlā.e ḳhudā us sitam-ījād sūrat

istāda haiñ ham baaġh meñ shamshād sūrat

yaad aatī hai bulbul pe jo bedād sūrat

ro detā huuñ maiñ dekh ke sayyād sūrat

āzād tire ai gul-e-tar bāġh-e-jahāñ meñ

be-jāh-o-hasham shaad haiñ shamshād sūrat

jo gesū-e-jānāñ meñ phañsā phir na chhuTā vo

haiñ qaid meñ phir ḳhuub hai mī.ād sūrat

khīñcheñge mire ā.īna-ruḳhsār tasvīr

dekhe to koī mānī-o-bahzād sūrat

gaalī ke sivā haath bhī chaltā hai ab un

har roz na.ī hotī hai bedād sūrat

kis tarah 'amānat' na rahūñ ġham se maiñ dil-gīr

āñkhoñ meñ phirā kartī hai ustād sūrat

dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat

istada hain hum bagh mein shamshad ki surat

yaad aati hai bulbul pe jo bedad ki surat

ro deta hun main dekh ke sayyaad ki surat

aazad tere ai gul-e-tar bagh-e-jahan mein

be-jah-o-hasham shad hain shamshad ki surat

jo gesu-e-jaanan mein phansa phir na chhuTa wo

hain qaid mein phir KHub hai miad ki surat

khinchenge mere aaina-ruKHsar ki taswir

dekhe to koi mani-o-bahzad ki surat

gali ke siwa hath bhi chalta hai ab un ka

har roz nai hoti hai bedad ki surat

kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir

aankhon mein phira karti hai ustad ki surat

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now