dip tha ya tara kya jaane
diip thā yā taarā kyā jaane
dil meñ kyuuñ Duubā kyā jaane
gul par kyā kuchh biit ga.ī hai
albelā jhoñkā kyā jaane
aas kī mailī chādar oḌhe
vo bhī thā mujh sā kyā jaane
riit bhī apnī rut bhī apnī
dil rasm-e-duniyā kyā jaane
uñglī thaam ke chalne vaalā
nagrī kā rastā kyā jaane
kitne moḌ abhī baaqī haiñ
tum jaano saayā kyā jaane
kaun khilaunā TuuT gayā hai
bālak be-parvā kyā jaane
mamtā oT dahakte sūraj
āñkhoñ kā taarā kyā jaane
dip tha ya tara kya jaane
dil mein kyun Duba kya jaane
gul par kya kuchh bit gai hai
albela jhonka kya jaane
aas ki maili chadar oDhe
wo bhi tha mujh sa kya jaane
rit bhi apni rut bhi apni
dil rasm-e-duniya kya jaane
ungli tham ke chalne wala
nagri ka rasta kya jaane
kitne moD abhi baqi hain
tum jaano saya kya jaane
kaun khilauna TuT gaya hai
baalak be-parwa kya jaane
mamta oT dahakte suraj
aankhon ka tara kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.