Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla

Sarwar Alam Raz

DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla

Sarwar Alam Raz

DhūñDte DhūñDte ḳhud ko maiñ kahāñ niklā

ek parda jo uThā dūsrā parda niklā

manzar-e-zīst sarāsar tah-o-bālā niklā

ġhaur se dekhā to har shaḳhs tamāshā niklā

ek rañg ġham-ḳhāna-e-duniyā niklā

ġham-e-jānāñ bhī ġham-e-zīst saayā niklā

is rah-e-zīst ko ham ajnabī samjhe the magar

jo bhī patthar milā barsoñ shanāsā niklā

aarzū hasrat aur ummīd shikāyat aañsū

ik tirā zikr thā aur biich meñ kyā kyā niklā

ghar se nikle the ki ā.īna dikhā.eñ sab ko

lekin har aks meñ apnā sarāpā niklā

kyuuñ na ham bhī kareñ us naqsh-e-kaf-e-pā talāsh

sho.ala-e-tūr bhī to ek bahānā niklā

meñ thā baiTh ke kuchh apnī kaheñge 'sarvar'

bhī kam-baḳht zamāne satāyā niklā

DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla

ek parda jo uTha dusra parda nikla

manzar-e-zist sarasar tah-o-baala nikla

ghaur se dekha to har shaKHs tamasha nikla

ek hi rang ka gham-KHana-e-duniya nikla

gham-e-jaanan bhi gham-e-zist ka saya nikla

is rah-e-zist ko hum ajnabi samjhe the magar

jo bhi patthar mila barson ka shanasa nikla

aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu

ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla

ghar se nikle the ki aaina dikhaen sab ko

lekin har aks mein apna hi sarapa nikla

kyun na hum bhi karen us naqsh-e-kaf-e-pa ki talash

shoala-e-tur bhi to ek bahana nikla

ji mein tha baiTh ke kuchh apni kahenge 'sarwar'

tu bhi kam-baKHt zamane ka sataya nikla

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now