Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum

Shad Azimabadi

DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum

Shad Azimabadi

Interesting Fact

The second line of the poem is also famous as, 'Tabir hai jis ki hasrat-o-gham aye ham-nafaso wo khwaab hain hum'. The line cited in the ghazal is solicited from kulliyat-e-shad, Bahar-e-Urdu Academy, Patna.

DhūñDoge agar mulkoñ mulkoñ milne ke nahīñ nāyāb haiñ ham

jo yaad na aa.e bhuul ke phir ai ham-nafaso vo ḳhvāb haiñ ham

maiñ hairat o hasrat maarā ḳhāmosh khaḌā huuñ sāhil par

dariyā-e-mohabbat kahtā hai aa kuchh bhī nahīñ pāyāb haiñ ham

ho jaa.e bakheḌā paak kahīñ paas apne bulā leñ behtar hai

ab dard-e-judā.ī se un ai aah bahut betāb haiñ ham

ai shauq burā is vahm ho maktūb tamām apnā na huā

vaañ chehre pe un ke ḳhat niklā yaañ bhūle hue alqāb haiñ ham

kis tarah taḌapte bhar kar yaañ zo.af ne mushkīñ kas diiñ haiñ

ho band aur ātish par ho chaḌhā sīmāb bhī vo sīmāb haiñ ham

ai shauq patā kuchh batā ab tak ye karishma kuchh na khulā

ham meñ hai dil-e-betāb nihāñ aap dil-e-betāb haiñ ham

lākhoñ musāfir chalte haiñ manzil pe pahuñchte haiñ do ek

ai ahl-e-zamāna qadr karo nāyāb na hoñ kam-yāb haiñ ham

murġhān-e-qafas ko phūloñ ne ai 'shād' ye kahlā bhejā hai

aa jaao jo tum ko aanā ho aise meñ abhī shādāb haiñ ham

DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum

jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum

main hairat o hasrat ka mara KHamosh khaDa hun sahil par

dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain hum

ho jae bakheDa pak kahin pas apne bula len behtar hai

ab dard-e-judai se un ki ai aah bahut betab hain hum

ai shauq bura is wahm ka ho maktub tamam apna na hua

wan chehre pe un ke KHat nikla yan bhule hue alqab hain hum

kis tarah taDapte ji bhar kar yan zoaf ne mushkin kas din hain

ho band aur aatish par ho chaDha simab bhi wo simab hain hum

ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula

hum mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain hum

lakhon hi musafir chalte hain manzil pe pahunchte hain do ek

ai ahl-e-zamana qadr karo nayab na hon kam-yab hain hum

murghan-e-qafas ko phulon ne ai 'shad' ye kahla bheja hai

aa jao jo tum ko aana ho aise mein abhi shadab hain hum

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Abida Parveen

Abida Parveen

Abida Parveen

Abida Parveen

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum Fasih Akmal

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now