Dhaalta hun sher mein tanhaiyon ko
Dhāltā huuñ sher meñ tanhā.iyoñ ko
DhūñDhtā huuñ us meñ phir parchhā.iyoñ ko
khokhlī āñkhoñ se mujh ko ghūrtī haiñ
dekh kar Dartā huuñ maiñ pahnā.iyoñ ko
vo burā.ī sab se merī kar rahe haiñ
kyuuñ nahīñ karte bayāñ achchhā.iyoñ ko
shahr meñ to qatl sab kā ho chukā hai
bhej do ab dasht meñ balvā.i.oñ ko
dil kī bhaTTī ye na hoñ to jal hī jaa.e
roko mat tum ashk kī purvā.iyoñ ko
de rahī haiñ ik se ik nazzāra 'māmūn'
koste ho kyuuñ tum in tanhā.iyoñ ko
Dhaalta hun sher mein tanhaiyon ko
DhunDhta hun us mein phir parchhaiyon ko
khokhli aankhon se mujh ko ghurti hain
dekh kar Darta hun main pahnaiyon ko
wo burai sab se meri kar rahe hain
kyun nahin karte bayan achchhaiyon ko
shahr mein to qatl sab ka ho chuka hai
bhej do ab dasht mein balwaion ko
dil ki bhaTTi ye na hon to jal hi jae
roko mat tum ashk ki purwaiyon ko
de rahi hain ek se ek nazzara 'mamun'
koste ho kyun tum in tanhaiyon ko
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 43)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.