Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr mein Dube dukan-dar pe dukh hota hai

Monika Singh Moh

fikr mein Dube dukan-dar pe dukh hota hai

Monika Singh Moh

MORE BYMonika Singh Moh

    fikr meñ Duube dukāñ-dār pe dukh hotā hai

    mujh ko vīrānī-e-bāzār pe dukh hotā hai

    mujh se laḌte hue bhaa.ī nahīñ dekhe jaate

    ghar meñ uThtī huī dīvār pe dukh hotā hai

    jo musībat meñ paḌe shaḳhs pe hañs dete haiñ

    un ke girte hue me'yār pe dukh hotā hai

    ai mire dost guzārish hai mire sāmne aa

    tere pīchhe se kiye vaar pe dukh hotā hai

    jin meñ tahzīb-o-adab kā na rakhā jaa.e ḳhayāl

    aise naġhmāt pe ash'ār pe dukh hotā hai

    jis kī imdād dikhāve ke liye hotī hai

    'monikā' aise madad-gār pe dukh hotā hai

    fikr mein Dube dukan-dar pe dukh hota hai

    mujh ko virani-e-bazar pe dukh hota hai

    mujh se laDte hue bhai nahin dekhe jate

    ghar mein uThti hui diwar pe dukh hota hai

    jo musibat mein paDe shaKHs pe hans dete hain

    un ke girte hue me'yar pe dukh hota hai

    ai mere dost guzarish hai mere samne aa

    tere pichhe se kiye war pe dukh hota hai

    jin mein tahzib-o-adab ka na rakha jae KHayal

    aise naghmat pe ash'ar pe dukh hota hai

    jis ki imdad dikhawe ke liye hoti hai

    'monika' aise madad-gar pe dukh hota hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now