barsat ki bahaar hai saqi sharab la
barsāt kī bahār hai saaqī sharāb lā
ye rut hī ḳhush-gavār hai saaqī sharāb lā
bāġhoñ meñ jhūlte haiñ hasīñ kis adā ke saath
ek ik se ham-kanār hai saaqī sharāb lā
hai saaz bhī chhiḌā huā mai-kash bhī jaam hai
ab kis kā intizār hai saaqī sharāb lā
garmā rahī hai dil ko umangeñ shabāb kī
har mast be-qarār hai saaqī sharāb lā
kyā bhūrī bhūrī chhā.ī hai maiḳhāne par ghaTā
kaisī hasīñ phuvār hai saaqī sharāb lā
barsat ki bahaar hai saqi sharab la
ye rut hi KHush-gawar hai saqi sharab la
baghon mein jhulte hain hasin kis ada ke sath
ek ek se ham-kanar hai saqi sharab la
hai saz bhi chhiDa hua mai-kash bhi jam hai
ab kis ka intizar hai saqi sharab la
garma rahi hai dil ko umangen shabab ki
har mast be-qarar hai saqi sharab la
kya bhuri bhuri chhai hai maiKHane par ghaTa
kaisi hasin phuwar hai saqi sharab la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.