Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain

Josh Malsiani

watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain

Josh Malsiani

vatan sar-zamīñ se ishq o ulfat ham bhī rakhte haiñ

khaTaktī jo rahe dil meñ vo hasrat ham bhī rakhte haiñ

zarūrat ho to mar miTne himmat ham bhī rakhte haiñ

ye jur.at ye shujā.at ye basālat ham bhī rakhte haiñ

zamāne ko hilā dene ke daave bāñdhne vaalo

zamāne ko hilā dene tāqat ham bhī rakhte haiñ

balā se ho agar saarā jahāñ un himāyat par

ḳhuda-e-har-do-ālam himāyat ham bhī rakhte haiñ

bahār-e-gulshan-e-ummīd bhī sairāb ho jaa.e

karam aarzū ai abr-e-rahmat ham bhī rakhte haiñ

gila nā-mehrbānī to sab se sun liyā tum ne

tumhārī mehrbānī shikāyat ham bhī rakhte haiñ

bhalā.ī ye ki āzādī se ulfat tum bhī rakhte ho

burā.ī ye ki āzādī se ulfat ham bhī rakhte haiñ

hamārā naam bhī shāyad gunahgāroñ meñ shāmil ho

janāb-e-'josh' se sāhab salāmat ham bhī rakhte haiñ

watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain

khaTakti jo rahe dil mein wo hasrat hum bhi rakhte hain

zarurat ho to mar miTne ki himmat hum bhi rakhte hain

ye jurat ye shujaat ye basalat hum bhi rakhte hain

zamane ko hila dene ke dawe bandhne walo

zamane ko hila dene ki taqat hum bhi rakhte hain

bala se ho agar sara jahan un ki himayat par

KHuda-e-har-do-alam ki himayat hum bhi rakhte hain

bahaar-e-gulshan-e-ummid bhi sairab ho jae

karam ki aarzu ai abr-e-rahmat hum bhi rakhte hain

gila na-mehrbani ka to sab se sun liya tum ne

tumhaari mehrbani ki shikayat hum bhi rakhte hain

bhalai ye ki aazadi se ulfat tum bhi rakhte ho

burai ye ki aazadi se ulfat hum bhi rakhte hain

hamara nam bhi shayad gunahgaron mein shamil ho

janab-e-'josh' se sahab salamat hum bhi rakhte hain

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now