den jise chahen dil hamara hai
deñ jise chāheñ dil hamārā hai
is meñ kyā aap kā ijārā hai
bahkī bahkī jo karte ho taqrīr
sach kaho dil kahāñ tumhārā hai
jaan dete haiñ sabr karte haiñ
vaah kyā hausla hamārā hai
siine se lipTo yā galā kaaTo
ham tumhāre haiñ dil tumhārā hai
paanī talvār kā na piine diyā
sūkhe ghaaT aap ne utārā hai
den jise chahen dil hamara hai
is mein kya aap ka ijara hai
bahki bahki jo karte ho taqrir
sach kaho dil kahan tumhaara hai
jaan dete hain sabr karte hain
wah kya hausla hamara hai
sine se lipTo ya gala kaTo
hum tumhaare hain dil tumhaara hai
pani talwar ka na pine diya
sukhe ghaT aap ne utara hai
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.