dekha nahin chand ne palaT kar
dekhā nahīñ chāñd ne palaT kar
ham so ga.e ḳhvāb se lipaT kar
ab dil meñ vo sab kahāñ hai dekho
baġhdād kahāniyoñ se haT kar
shāyad ye shajar vahī ho jis par
dekho to zarā varaq ulaT kar
ik ḳhauf-zada sā shaḳhs ghar tak
pahuñchā ka.ī rāstoñ meñ baT kar
kāġhaz pe vo nazm khil uThī hai
ug aayā hai phir daraḳht kaT kar
'bābar' ye parind thak ga.e the
baiThe haiñ jo ḳhaak par simaT kar
dekha nahin chand ne palaT kar
hum so gae KHwab se lipaT kar
ab dil mein wo sab kahan hai dekho
baghdad kahaniyon se haT kar
shayad ye shajar wahi ho jis par
dekho to zara waraq ulaT kar
ek KHauf-zada sa shaKHs ghar tak
pahuncha kai raston mein baT kar
kaghaz pe wo nazm khil uThi hai
ug aaya hai phir daraKHt kaT kar
'babar' ye parind thak gae the
baiThe hain jo KHak par simaT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.