dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi
dekh aqd-e-surayyā hameñ angūr kī sūjhī
kyuuñ bāda-kashāñ ham ko bhī kyā duur kī sūjhī
ġhash khā ke girā pahle hī sho'le kī jhalak se
muusā ko bhalā kahiye to kyā tuur kī sūjhī
ham ne to use dekh ye jaanā ki parī hai
pariyoñ ne jo dekhā to unheñ huur kī sūjhī
dekhā jo nahāne meñ vo gorā badan us kā
billor kī chaukī pe jhalak nuur kī sūjhī
sar paañv se jab phañs ga.e us zulf-e-siyah meñ
jab ham ko siyāhī-e-shab-e-dījūr kī sūjhī
jannat ke liye shaiḳh jo kartā hai 'ibādat
kī ġhaur jo ḳhātir meñ to mazdūr kī sūjhī
masnūa meñ sān.e.a nazar aave to 'nazīr' aah
nazdīk kī phir kyā hai jahāñ duur kī sūjhī
dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi
kyun baada-kashan hum ko bhi kya dur ki sujhi
ghash kha ke gira pahle hi sho'le ki jhalak se
musa ko bhala kahiye to kya tur ki sujhi
hum ne to use dekh ye jaana ki pari hai
pariyon ne jo dekha to unhen hur ki sujhi
dekha jo nahane mein wo gora badan us ka
billor ki chauki pe jhalak nur ki sujhi
sar panw se jab phans gae us zulf-e-siyah mein
jab hum ko siyahi-e-shab-e-dijur ki sujhi
jannat ke liye shaiKH jo karta hai 'ibaadat
ki ghaur jo KHatir mein to mazdur ki sujhi
masnua mein sanea nazar aawe to 'nazir' aah
nazdik ki phir kya hai jahan dur ki sujhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.