dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi
dayār-e-dil na rahā bazm-e-dostāñ na rahī
amaañ kī koī jagah zer-e-āsmāñ na rahī
ravāñ haiñ aaj bhī rag rag meñ ḳhuun kī maujeñ
magar vo ek ḳhalish vo matā-e-jāñ na rahī
laḌeñ ġhamoñ ke añdheroñ se kis kī ḳhātir ham
koī kiran bhī to is dil meñ zau-fishāñ na rahī
maiñ us ko dekh ke āñkhoñ kā nuur kho baiThā
ye zindagī mirī āñkhoñ se kyuuñ nihāñ na rahī
zabāñ milī bhī to kis vaqt be-zabānoñ ko
sunāne ke liye jab koī dāstāñ na rahī
dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi
aman ki koi jagah zer-e-asman na rahi
rawan hain aaj bhi rag rag mein KHun ki maujen
magar wo ek KHalish wo mata-e-jaan na rahi
laDen ghamon ke andheron se kis ki KHatir hum
koi kiran bhi to is dil mein zau-fishan na rahi
main us ko dekh ke aankhon ka nur kho baiTha
ye zindagi meri aankhon se kyun nihan na rahi
zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko
sunane ke liye jab koi dastan na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.