dast-e-pur-KHun ko kaf-e-dast-e-nigaran samjhe
dast-e-pur-ḳhūñ ko kaf-e-dast-e-nigārāñ samjhe
qatl-gah thī jise ham mahfil-e-yārāñ samjhe
kuchh bhī dāman meñ nahīñ ḳhār-e-malāmat ke sivā
ai junūñ ham bhī kise kū-e-bahārāñ samjhe
TuuTe dhāge hī se karte haiñ rafū chāk-e-jigar
kaun bechārgī-e-sīna-figārāñ samjhe
haañ vo bedard to begāna hī achchhā yaaro
jo na tauqīr-e-ġham-e-dard-gusārāñ samjhe
ḳhanda-zan us pe rahe halqa-e-zanjīr-e-junūñ
jo na kuchh manzilat-e-silsila-dārāñ samjhe
aaj se ham ne bhī zaḳhmoñ ko tabassum jaanā
razm ko bazm-gah-e-lāla-ezārāñ samjhe
toḌ deñ ham jo na talvār to kahiye 'majrūh'
teġh-zan kyā hunar-e-zaḳhm-shi.ārāñ samjhe
dast-e-pur-KHun ko kaf-e-dast-e-nigaran samjhe
qatl-gah thi jise hum mahfil-e-yaran samjhe
kuchh bhi daman mein nahin KHar-e-malamat ke siwa
ai junun hum bhi kise ku-e-bahaaran samjhe
TuTe dhage hi se karte hain rafu chaak-e-jigar
kaun bechaargi-e-sina-figaran samjhe
han wo bedard to begana hi achchha yaro
jo na tauqir-e-gham-e-dard-gusaran samjhe
KHanda-zan us pe rahe halqa-e-zanjir-e-junun
jo na kuchh manzilat-e-silsila-daran samjhe
aaj se hum ne bhi zaKHmon ko tabassum jaana
razm ko bazm-gah-e-lala-ezaran samjhe
toD den hum jo na talwar to kahiye 'majruh'
tegh-zan kya hunar-e-zaKHm-shiaran samjhe
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 129)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.