Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-o-diwar pe shaklen si banane aai

Kaif Bhopali

dar-o-diwar pe shaklen si banane aai

Kaif Bhopali

MORE BYKaif Bhopali

    dar-o-dīvār pe shakleñ banāne aa.ī

    phir ye bārish merī tanhā.ī churāne aa.ī

    zindagī baap mānind sazā detī hai

    rahm-dil maañ tarah maut bachāne aa.ī

    aaj kal phir dil-e-barbād bāteñ haiñ vahī

    ham to samjhe the ki kuchh aql Thikāne aa.ī

    dil meñ aahaT huī ruuh meñ dastak gūñjī

    kis ḳhush-bū ye mujhe mere sirhāne aa.ī

    maiñ ne jab pahle-pahal apnā vatan chhoḌā thā

    duur tak mujh ko ik āvāz bulāne aa.ī

    terī mānind tirī yaad bhī zālim niklī

    jab bhī aa.ī hai mirā dil dukhāne aa.ī

    dar-o-diwar pe shaklen si banane aai

    phir ye barish meri tanhai churane aai

    zindagi bap ki manind saza deti hai

    rahm-dil man ki tarah maut bachane aai

    aaj kal phir dil-e-barbaad ki baaten hain wahi

    hum to samjhe the ki kuchh aql Thikane aai

    dil mein aahaT si hui ruh mein dastak gunji

    kis ki KHush-bu ye mujhe mere sirhane aai

    main ne jab pahle-pahal apna watan chhoDa tha

    dur tak mujh ko ek aawaz bulane aai

    teri manind teri yaad bhi zalim nikli

    jab bhi aai hai mera dil hi dukhane aai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now