Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dahan par hain un ke guman kaise kaise

Haidar Ali Aatish

dahan par hain un ke guman kaise kaise

Haidar Ali Aatish

dahan par haiñ un ke gumāñ kaise kaise

kalām aate haiñ darmiyāñ kaise kaise

zamīn-e-chaman gul khilātī hai kyā kyā

badaltā hai rang āsmāñ kaise kaise

tumhāre shahīdoñ meñ dāḳhil hue haiñ

gul-o-lāla-o-arġhavāñ kaise kaise

bahār aa.ī hai nashshe meñ jhūmte haiñ

murīdān-e-pīr-e-muġhāñ kaise kaise

'ajab kyā chhuTā ruuh se jāma-e-tan

luTe raah meñ kārvāñ kaise kaise

tap-e-hijr kāhishoñ ne kiye haiñ

judā post se ustuḳhvāñ kaise kaise

na muḌ kar bhī be-dard qātil ne dekhā

taḌapte rahe nīm-jāñ kaise kaise

na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dārā

miTe nāmiyoñ ke nishāñ kaise kaise

bahār-e-gulistāñ hai aamad aamad

ḳhushī phirte haiñ bāġhbāñ kaise kaise

tavajjoh ne terī hamāre masīhā

tavānā kiye nā-tavāñ kaise kaise

dil-o-dīda-e-ahl-e-ālam meñ ghar hai

tumhāre liye haiñ makāñ kaise kaise

ġham-o-ġhussa o ranj-o-andoh-o-hirmāñ

hamāre bhī haiñ mehrbāñ kaise kaise

tire cilk-e-qudrat ke qurbān āñkheñ

dikhā.e haiñ ḳhush-rū javāñ kaise kaise

kare jis qadar shukr-e-ne'mat vo kam hai

maze lūTtī hai zabāñ kaise kaise

dahan par hain un ke guman kaise kaise

kalam aate hain darmiyan kaise kaise

zamin-e-chaman gul khilati hai kya kya

badalta hai rang aasman kaise kaise

tumhaare shahidon mein daKHil hue hain

gul-o-lala-o-arghawan kaise kaise

bahaar aai hai nashshe mein jhumte hain

muridan-e-pir-e-mughan kaise kaise

'ajab kya chhuTa ruh se jama-e-tan

luTe rah mein karwan kaise kaise

tap-e-hijr ki kahishon ne kiye hain

juda post se ustuKHwan kaise kaise

na muD kar bhi be-dard qatil ne dekha

taDapte rahe nim-jaan kaise kaise

na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dara

miTe namiyon ke nishan kaise kaise

bahaar-e-gulistan ki hai aamad aamad

KHushi phirte hain baghban kaise kaise

tawajjoh ne teri hamare masiha

tawana kiye na-tawan kaise kaise

dil-o-dida-e-ahl-e-alam mein ghar hai

tumhaare liye hain makan kaise kaise

gham-o-ghussa o ranj-o-andoh-o-hirman

hamare bhi hain mehrban kaise kaise

tere cilk-e-qudrat ke qurban aankhen

dikhae hain KHush-ru jawan kaise kaise

kare jis qadar shukr-e-ne'mat wo kam hai

maze luTti hai zaban kaise kaise

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now