ek diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena
ik diyā dil meñ jalānā bhī bujhā bhī denā
yaad karnā bhī use roz bhulā bhī denā
kyā kahūñ ye mirī chāhat hai ki nafrat us kī
naam likhnā bhī mirā likh ke miTā bhī denā
phir na milne ko bichhaḌtā to huuñ tujh se lekin
muḌ ke dekhūñ to palaTne kī du'ā bhī denā
ḳhat bhī likhnā use māyūs bhī rahnā us se
jurm karnā bhī magar ḳhud ko sazā bhī denā
mujh ko rasmoñ kā takalluf bhī gavārā lekin
jī meñ aa.e to ye dīvār girā bhī denā
us se mansūb bhī kar lenā purāne qisse
us ke bāloñ meñ nayā phuul sajā bhī denā
sūrat-e-naqsh-e-qadam dasht meñ rahnā 'mohsin'
apne hone se na hone kā patā bhī denā
ek diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena
yaad karna bhi use roz bhula bhi dena
kya kahun ye meri chahat hai ki nafrat us ki
nam likhna bhi mera likh ke miTa bhi dena
phir na milne ko bichhaDta to hun tujh se lekin
muD ke dekhun to palaTne ki du'a bhi dena
KHat bhi likhna use mayus bhi rahna us se
jurm karna bhi magar KHud ko saza bhi dena
mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara lekin
ji mein aae to ye diwar gira bhi dena
us se mansub bhi kar lena purane qisse
us ke baalon mein naya phul saja bhi dena
surat-e-naqsh-e-qadam dasht mein rahna 'mohsin'
apne hone se na hone ka pata bhi dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.