hum ko aata hi nahin ishq dubara karna
ham ko aatā hī nahīñ 'ishq dubāra karnā
tū jise chāhe ḳhudā us ko hamārā karnā
kis salīqe se maiñ chūmūñ tire māthe ko batā
mujh ko aa jaa.e tujhe aur bhī pyārā karnā
har koī apnī sunātā hai chalā jaatā hai
ham ko aatā hī nahīñ zikr tumhārā karnā
tere chehre pe thakan saaf nazar aatī hai
tujh ko aayā nahīñ yādoñ se guzārā karnā
hum ko aata hi nahin 'ishq dubara karna
tu jise chahe KHuda us ko hamara karna
kis saliqe se main chumun tere mathe ko bata
mujh ko aa jae tujhe aur bhi pyara karna
har koi apni sunata hai chala jata hai
hum ko aata hi nahin zikr tumhaara karna
tere chehre pe thakan saf nazar aati hai
tujh ko aaya nahin yaadon se guzara karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.