humse udas logon ko bhi hausla diya
ham se udaas logoñ ko bhī hausla diyā
kyā kyā na terī yaad ne ham ko sikhā diyā
bachpan se sochtī huuñ maiñ bachpan kā dukh liye
kis hādse ne ḳhaak meñ bachpan milā diyā
terā maqām dil ke mohalle meñ ab nahīñ
āḳhir tirā maqām bhī maiñ ne girā diyā
tere qarīb kaun hai hai tujh se duur kaun
‘srishTī’ maiñ keh rahī huuñ na sab kuchh bhulā diyā
hum se udas logon ko bhi hausla diya
kya kya na teri yaad ne hum ko sikha diya
bachpan se sochti hun main bachpan ka dukh liye
kis hadse ne KHak mein bachpan mila diya
tera maqam dil ke mohalle mein ab nahin
aaKHir tera maqam bhi main ne gira diya
tere qarib kaun hai hai tujh se dur kaun
‘srishTi’ main keh rahi hun na sab kuchh bhula diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.