koi chalta hai itni shan se kya
koī chaltā hai itnī shaan se kyā
husn utrā hai āsmān se kyā
tum ne to baat hī pakaḌ lī hai
aisā niklā mirī zabān se kyā
log marte haiñ us kī āñkhoñ par
ham bhī jā.eñge apnī jaan se kyā
Dūbne vaale kab ke Duub chuke
tairte haiñ ye bādbān se kyā
ḳhaak uḌtī hai ab dar-e-dil par
aap nikle haiñ is makān se kyā
koi chalta hai itni shan se kya
husn utra hai aasman se kya
tum ne to baat hi pakaD li hai
aisa nikla meri zaban se kya
log marte hain us ki aankhon par
hum bhi jaenge apni jaan se kya
Dubne wale kab ke Dub chuke
tairte hain ye baadban se kya
KHak uDti hai ab dar-e-dil par
aap nikle hain is makan se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.