chalte chalte sal kitne ho gae
chalte chalte saal kitne ho ga.e
peḌ bhī raste ke būḌhe ho ga.e
uñgliyāñ mazbūt hāthoñ se chhuTīñ
bhiiḌ meñ bachche akele ho ga.e
hādisa kal aa.ine par kyā huā
reza reza aks mere ho ga.e
DhūñDhiye to dhuup meñ milte nahīñ
mujrmoñ kī tarah saa.e ho ga.e
merī ḳhāmoshī pe the jo ta.ana-zan
shor meñ apne hī bahre ho ga.e
chāñd ko maiñ chhū nahīñ paayā magar
ḳhvāb sab mere sunahre ho ga.e
merī gum-nāmī se 'az.har' jab mile
shohratoñ ke haath maile ho ga.e
chalte chalte sal kitne ho gae
peD bhi raste ke buDhe ho gae
ungliyan mazbut hathon se chhuTin
bhiD mein bachche akele ho gae
hadisa kal aaine par kya hua
reza reza aks mere ho gae
DhunDhiye to dhup mein milte nahin
mujrmon ki tarah sae ho gae
meri KHamoshi pe the jo tana-zan
shor mein apne hi bahre ho gae
chand ko main chhu nahin paya magar
KHwab sab mere sunahre ho gae
meri gum-nami se 'azhar' jab mile
shohraton ke hath maile ho gae
- Book : azahar inaayatii and ghazal (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.