Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya

Mirza Raza Barq

chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya

Mirza Raza Barq

MORE BYMirza Raza Barq

    chāñd chehra jo us āshkārā ho gayā

    tan pe har qatra pasīne sharārā ho gayā

    chhup sakā dam bhar na rāz-e-dil firāq-e-yār meñ

    vo nihāñ jis dam huā sab āshkārā ho gayā

    jis ko dekhā chashm-e-vehdat se vahī māshūq hai

    paḌ ga.ī jis par nazar us nazārā ho gayā

    ham-kinārī havas ai gauhar-e-yaktā ye hai

    aab ho kar ġham se dil dariyā hamārā ho gayā

    ḳhalq meñ gard-e-yatīmī se guhar qadr hai

    ḳhāksārī se fuzūñ rutba hamārā ho gayā

    dil meñ hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandāñ yaad

    ye guhar arsh-e-barīñ goshvāra ho gayā

    chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya

    tan pe har qatra pasine ka sharara ho gaya

    chhup saka dam bhar na raaz-e-dil firaq-e-yar mein

    wo nihan jis dam hua sab aashkara ho gaya

    jis ko dekha chashm-e-wehdat se wahi mashuq hai

    paD gai jis par nazar us ka nazara ho gaya

    ham-kinari ki hawas ai gauhar-e-yakta ye hai

    aab ho kar gham se dil dariya hamara ho gaya

    KHalq mein gard-e-yatimi se guhar ki qadr hai

    KHaksari se fuzun rutba hamara ho gaya

    dil mein hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandan ki yaad

    ye guhar arsh-e-barin ka goshwara ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now