bin dekhe uske jawe ranj o azab kyun kar
bin dekhe us ke jaave rañj o azaab kyuuñ kar
vo ḳhvāb meñ to aave par aave ḳhvāb kyuuñ kar
paas us ne jo biThāyā dil aur tilmilāyā
ab jā.egā ḳhudāyā ye iztirāb kyuuñ kar
vo jab se hai safar meñ dil muztarib hai bar meñ
baiTheñ ham apne ghar meñ ḳhāna-ḳharāb kyuuñ kar
saaqī firāq-e-jānāñ halq apne kā hai darbāñ
utre gale se phir yaañ qirt-e-sharāb kyuuñ kar
ġhamgīñ haiñ jis ke ġham se vāqif nahīñ vo ham se
yārab phir is alam se ho sabr-o-tāb kyuuñ kar
vaañ hai savāl har dam rakhiye milāp kam kam
hairān haiñ ki deñ ham is kā javāb kyuuñ kar
chhoTā hai sin tumhārā mukhḌā hai pyārā pyārā
phir ho bhalā gavārā sharm-o-hijāb kyuuñ kar
mujh ko to hai ye hairat aisī rahī jo ismat
to hogā sarf-e-ishrat ahd-e-shabāb kyuuñ kar
ab taur kī to apne 'jur.at' ġhazal sunā de
dekheñ to is ke hoñge sher intiḳhāb kyuuñ kar
bin dekhe us ke jawe ranj o azab kyun kar
wo KHwab mein to aawe par aawe KHwab kyun kar
pas us ne jo biThaya dil aur tilmilaya
ab jaega KHudaya ye iztirab kyun kar
wo jab se hai safar mein dil muztarib hai bar mein
baiThen hum apne ghar mein KHana-KHarab kyun kar
saqi firaq-e-jaanan halq apne ka hai darban
utre gale se phir yan qirt-e-sharab kyun kar
ghamgin hain jis ke gham se waqif nahin wo hum se
yarab phir is alam se ho sabr-o-tab kyun kar
wan hai sawal har dam rakhiye milap kam kam
hairan hain ki den hum is ka jawab kyun kar
chhoTa hai sin tumhaara mukhDa hai pyara pyara
phir ho bhala gawara sharm-o-hijab kyun kar
mujh ko to hai ye hairat aisi rahi jo ismat
to hoga sarf-e-ishrat ahd-e-shabab kyun kar
ab taur ki to apne 'jurat' ghazal suna de
dekhen to is ke honge sher intiKHab kyun kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.