biite rishte talāsh kartī hai
ḳhushbū ġhunche talāsh kartī hai
jab guzartī hai us galī se sabā
ḳhat ke purze talāsh kartī hai
apne maazī kī justujū meñ bahār
piile patte talāsh kartī hai
ek ummīd baar baar aa kar
apne TukḌe talāsh kartī hai
būḌhī pagDanDī shahr tak aa kar
apne beTe talāsh kartī hai
bite rishte talash karti hai
KHushbu ghunche talash karti hai
jab guzarti hai us gali se saba
KHat ke purze talash karti hai
apne mazi ki justuju mein bahaar
pile patte talash karti hai
ek ummid bar bar aa kar
apne TukDe talash karti hai
buDhi pagDanDi shahr tak aa kar
apne beTe talash karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.