meri wafa ka sila hae kya diya tu ne
mirī vafā kā sila haa.e kyā diyā tū ne
ki dost ban ke mirā ghar jalā diyā tū ne
bahār ho ga.ī sharminda dekh kar tujh ko
chaman meñ aa ke jo chehra dikhā diyā tū ne
hayāt jis ne luTā dī tirī ḳhushī ke liye
usī ke ḳhuun se maqtal sajā diyā tū ne
ḳhumār aaj bhī baaqī hai us kā ai saaqī
jo jaam āñkhoñ se apnī pilā diyā tū ne
maiñ kaise keh duuñ 'jigar' be-vafā tujhe batlā
qadam qadam pe mujhe aasrā diyā tū ne
meri wafa ka sila hae kya diya tu ne
ki dost ban ke mera ghar jala diya tu ne
bahaar ho gai sharminda dekh kar tujh ko
chaman mein aa ke jo chehra dikha diya tu ne
hayat jis ne luTa di teri KHushi ke liye
usi ke KHun se maqtal saja diya tu ne
KHumar aaj bhi baqi hai us ka ai saqi
jo jam aankhon se apni pila diya tu ne
main kaise keh dun 'jigar' be-wafa tujhe batla
qadam qadam pe mujhe aasra diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.