Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigahon ka markaz bana ja raha hun

Jigar Moradabadi

nigahon ka markaz bana ja raha hun

Jigar Moradabadi

nigāhoñ markaz banā rahā huuñ

mohabbat ke hāthoñ luTā rahā huuñ

maiñ qatra huuñ lekin ba-āġhosh-e-dariyā

azal se abad tak bahā rahā huuñ

mubārak mubārak mirī ye fanā.eñ

do-ālam pe chhāyā chalā rahā huuñ

vahī husn jis ke haiñ ye sab mazāhir

usī husn meñ hal huā rahā huuñ

ye kis taraf se ye kis taraf ko

maiñ ham-dosh mauj-e-fanā rahā huuñ

na jaane kahāñ se na jaane kidhar ko

bas ik apnī dhun meñ uḌā rahā huuñ

mujhe rok saktā ho koī to roke

ki chhup kar nahīñ barmalā rahā huuñ

mere paas aao ye kyā sāmne huuñ

mirī samt dekho ye kyā rahā huuñ

nigāhoñ meñ manzil mirī phir rahī hai

yūñhī girtā paḌtā chalā rahā huuñ

tirī mast nazreñ ġhazab Dhā rahī haiñ

ye aalam hai jaise uḌā rahā huuñ

kidhar hai ai ġhairat-e-husn ḳhud meñ

mohabbat ke hāthoñ bikā rahā huuñ

na aurāk-e-hastī na ehsās-e-mastī

jidhar chal paḌā huuñ chalā rahā huuñ

na sūrat na ma.anī na paidā na pinhāñ

ye kis husn meñ gum huā rahā huuñ

nigahon ka markaz bana ja raha hun

mohabbat ke hathon luTa ja raha hun

main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya

azal se abad tak baha ja raha hun

mubarak mubarak meri ye fanaen

do-alam pe chhaya chala ja raha hun

wahi husn jis ke hain ye sab mazahir

usi husn mein hal hua ja raha hun

ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko

main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun

na jaane kahan se na jaane kidhar ko

bas ek apni dhun mein uDa ja raha hun

mujhe rok sakta ho koi to roke

ki chhup kar nahin barmala ja raha hun

mere pas aao ye kya samne hun

meri samt dekho ye kya ja raha hun

nigahon mein manzil meri phir rahi hai

yunhi girta paDta chala ja raha hun

teri mast nazren ghazab Dha rahi hain

ye aalam hai jaise uDa ja raha hun

kidhar hai tu ai ghairat-e-husn KHud mein

mohabbat ke hathon bika ja raha hun

na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti

jidhar chal paDa hun chala ja raha hun

na surat na mani na paida na pinhan

ye kis husn mein gum hua ja raha hun

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now