be-dili kya yunhi din guzar jaenge
be-dilī kyā yūñhī din guzar jā.eñge
sirf zinda rahe ham to mar jā.eñge
raqs hai rañg par rañg ham-raqs haiñ
sab bichhaḌ jā.eñge sab bikhar jā.eñge
ye ḳharābātiyān-e-ḳhirad-bāḳhta
sub.h hote hī sab kaam par jā.eñge
kitnī dilkash ho tum kitnā dil-jū huuñ maiñ
kyā sitam hai ki ham log mar jā.eñge
hai ġhanīmat ki asrār-e-hastī se ham
be-ḳhabar aa.e haiñ be-ḳhabar jā.eñge
be-dili kya yunhi din guzar jaenge
sirf zinda rahe hum to mar jaenge
raqs hai rang par rang ham-raqs hain
sab bichhaD jaenge sab bikhar jaenge
ye KHarabaatiyan-e-KHirad-baKHta
subh hote hi sab kaam par jaenge
kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hun main
kya sitam hai ki hum log mar jaenge
hai ghanimat ki asrar-e-hasti se hum
be-KHabar aae hain be-KHabar jaenge
- Book : gumaan (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.