be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe
be-takalluf mirā haijān banātā hai mujhe
sāmne tere kahāñ bolnā aatā hai mujhe
vo udāsī ki bikharne se nahīñ bach saktā
aur tirā lams ki chuntā chalā jaatā hai mujhe
ab mire lauT ke aane kā koī vaqt nahīñ
yuuñ bhī ab ghar se sivā kaun bulātā hai mujhe
giit hī sirf laboñ par ho to aa jaa.e bhī niiñd
vo koī aur kahānī bhī sunātā hai mujhe
qat.a kar ke bhī ta.alluq vo kahāñ chain se hai
is ke asbāb-o-dalā.el bhī ginātā hai mujhe
ḳhud se vo kaun se shikve haiñ ki jaate hī nahīñ
apne jaisoñ pe yaqīñ kyuuñ nahīñ aatā hai mujhe
aur ik baar zarā chheḌ mirī ruuh ke taar
in suroñ meñ to koī aur bhī gaatā hai mujhe
ik tirā dard hai achchhe haiñ marāsim jis se
bas vahī hai ki jo palkoñ pe biThātā hai mujhe
maiñ kisī dūsre pahlū se use kyuuñ sochūñ
yuuñ bhī achchhā hai vo jaisā nazar aatā hai mujhe
ho sabab kuchh bhī mire aañkh bachāne kā magar
saaf kar duuñ ki nazar kam nahīñ aatā hai mujhe
nā-ḳhudāoñ ne to ḳhush-fahmiyāñ baḳhshī haiñ faqat
maiñ huuñ ḳhatre meñ ye tūfāñ hī batātā hai mujhe
be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe
samne tere kahan bolna aata hai mujhe
wo udasi ki bikharne se nahin bach sakta
aur tera lams ki chunta chala jata hai mujhe
ab mere lauT ke aane ka koi waqt nahin
yun bhi ab ghar se siwa kaun bulata hai mujhe
git hi sirf labon par ho to aa jae bhi nind
wo koi aur kahani bhi sunata hai mujhe
qata kar ke bhi talluq wo kahan chain se hai
is ke asbab-o-dalael bhi ginata hai mujhe
KHud se wo kaun se shikwe hain ki jate hi nahin
apne jaison pe yaqin kyun nahin aata hai mujhe
aur ek bar zara chheD meri ruh ke tar
in suron mein to koi aur bhi gata hai mujhe
ek tera dard hai achchhe hain marasim jis se
bas wahi hai ki jo palkon pe biThata hai mujhe
main kisi dusre pahlu se use kyun sochun
yun bhi achchha hai wo jaisa nazar aata hai mujhe
ho sabab kuchh bhi mere aankh bachane ka magar
saf kar dun ki nazar kam nahin aata hai mujhe
na-KHudaon ne to KHush-fahmiyan baKHshi hain faqat
main hun KHatre mein ye tufan hi batata hai mujhe
- Book : Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 81)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.