Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz

Ada Jafarey

be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz

Ada Jafarey

MORE BYAda Jafarey

    be-gāngī-e-tarz-e-sitam bhī bahāna-sāz

    be-chārgī-e-karb-o-alam bhī bahāna-sāz

    kuchh but banā liye haiñ chaTTāneñ tarāsh kar

    dil bhī bahāna-sāz hai ġham bhī bahāna-sāz

    uzr-e-vafā ke saath jalāte rahe charāġh

    khultā hai ab ki dīda-e-nam bhī bahāna-sāz

    pābandī-e-rusūm-o-vafā bhī bahāna-ḳhū

    tark-e-vafā-o-sheva-e-ram bhī bahāna-sāz

    har lamha-e-hayāt tanhā rahā vajūd

    dildārī-e-nigāh-e-karam bhī bahāna-sāz

    kuchh duur saath saath the itnā to yaad hai

    sahrā-e-ġham meñ naqsh-e-qadam bhī bahāna-sāz

    sab se baḌā fareb hai ḳhud zindagī 'adā'

    is hīla-jū ke saath haiñ ham bhī bahāna-sāz

    be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz

    be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahana-saz

    kuchh but bana liye hain chaTTanen tarash kar

    dil bhi bahana-saz hai gham bhi bahana-saz

    uzr-e-wafa ke sath jalate rahe charagh

    khulta hai ab ki dida-e-nam bhi bahana-saz

    pabandi-e-rusum-o-wafa bhi bahana-KHu

    tark-e-wafa-o-shewa-e-ram bhi bahana-saz

    har lamha-e-hayat ka tanha raha wajud

    dildari-e-nigah-e-karam bhi bahana-saz

    kuchh dur sath sath the itna to yaad hai

    sahra-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahana-saz

    sab se baDa fareb hai KHud zindagi 'ada'

    is hila-ju ke sath hain hum bhi bahana-saz

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now