Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bashir badr ki ghazlen suna raha tha main

Mohsin Aftab Kelapuri

bashir badr ki ghazlen suna raha tha main

Mohsin Aftab Kelapuri

bashīr 'badr' ġhazleñ sunā rahā thā maiñ

kal āsmāñ ko zamīñ par bulā rahā thā maiñ

guzar rahā thā maiñ jab mai-kade rāhoñ se

jigar ke haath se dāman bachā rahā thā maiñ

ye baat sab ko batā.ī thī mirzā ġhālib ne

bahār ghar meñ thī sahrā uḌā rahā thā maiñ

tumhārī yaad bhī chupke se aa ke baiTh ga.ī

ġhazal jo 'mīr' ik gungunā rahā thā maiñ

udaas shaam nazar aa.ī jaan ke jaisī

jab intizār meñ tere khaḌā rahā thā maiñ

vo amritā tarah mujh se ishq kartī thī

so apne aap ko 'sāhir' batā rahā thā maiñ

'farāz'-o-'faiz' ke dilkash kalām ko paḌh kar

mohabbatoñ tarīqa sikhā rahā thā maiñ

'majāz' kaan meñ mere batā ga.e aa kar

ki kaise husn ko pāgal banā rahā thā maiñ

'shakīl' aazmī kahne lage paroñ ko khol

jo sū-e-asmāñ sar ko uThā rahā thā maiñ

ye bātoñ bātoñ meñ mujh ko batā ga.e 'tanvīr'

kal us ke haath kañgan ghumā rahā thā maiñ

'nidā' ne shahr meñ gaañv basā ke rakhā thā

so un se milne usī gaañv rahā thā maiñ

lipaT ke rone lage mujh se shā.ir-e-mashriq

jab un ko qaum hālat batā rahā thā maiñ

'zafar' batā.eñge tum ko maiñ batā.ūñgā

ke mulk chhoḌ ke kis tarah rahā thā maiñ

ajab ḳhvāb dikhā.ī diyā mujhe 'mohsin'

kal āftāb mayyat uThā rahā thā maiñ

bashir 'badr' ki ghazlen suna raha tha main

kal aasman ko zamin par bula raha tha main

guzar raha tha main jab mai-kade ki rahon se

jigar ke hath se daman bacha raha tha main

ye baat sab ko batai thi mirza ghaalib ne

bahaar ghar mein thi sahra uDa raha tha main

tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baiTh gai

ghazal jo 'mir' ki ek gunguna raha tha main

udas sham nazar aai jaan ke jaisi

jab intizar mein tere khaDa raha tha main

wo amrita ki tarah mujh se ishq karti thi

so apne aap ko 'sahir' bata raha tha main

'faraaz'-o-'faiz' ke dilkash kalam ko paDh kar

mohabbaton ka tariqa sikha raha tha main

'majaz' kan mein mere bata gae aa kar

ki kaise husn ko pagal bana raha tha main

'shakil' aazmi kahne lage paron ko khol

jo su-e-asman sar ko uTha raha tha main

ye baaton baaton mein mujh ko bata gae 'tanwir'

kal us ke hath ka kangan ghuma raha tha main

'nida' ne shahr mein ganw basa ke rakha tha

so un se milne usi ganw ja raha tha main

lipaT ke rone lage mujh se shair-e-mashriq

jab un ko qaum ki haalat bata raha tha main

'zafar' bataenge tum ko ya main bataunga

ke mulk chhoD ke kis tarah ja raha tha main

ajab hi KHwab dikhai diya mujhe 'mohsin'

kal aaftab ki mayyat uTha raha tha main

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now