Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDe tajiron ki satai hui

Bashir Badr

baDe tajiron ki satai hui

Bashir Badr

baḌe tājiroñ satā.ī huī

ye duniyā dulhan hai jalā.ī huī

bharī dopahar khilā phuul hai

pasīne meñ laḌkī nahā.ī huī

kiran phuul pattiyoñ meñ dabī

hañsī us ke hoñToñ pe aa.ī huī

vo chehra kitābī rahā sāmne

baḌī ḳhūbsūrat paḌhā.ī huī

udāsī bichhī hai baḌī duur tak

bahāroñ beTī parā.ī huī

ḳhushī ham ġharīboñ kyā hai miyāñ

mazāroñ pe chādar chaḌhā.ī huī

baDe tajiron ki satai hui

ye duniya dulhan hai jalai hui

bhari dopahar ka khila phul hai

pasine mein laDki nahai hui

kiran phul ki pattiyon mein dabi

hansi us ke honTon pe aai hui

wo chehra kitabi raha samne

baDi KHubsurat paDhai hui

udasi bichhi hai baDi dur tak

bahaaron ki beTi parai hui

KHushi hum gharibon ki kya hai miyan

mazaron pe chadar chaDhai hui

Source :
  • Book : Aamad (Pg. 33)
  • Author : Bashir Badar
  • Publication : M.R. Publications (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now