pani mein kankar barsaya karte the
paanī meñ kankar barsāyā karte the
vo din jab ham lamhe zaayā karte the
hoḌ havā se aksar lagtī thī apnī
aksar us ko dhuul chaTāyā karte the
dekh ke ham ko rāhguzar muskātī thī
peḌ bhī aage baḌh kar chhāyā karte the
dhuup baTorā karte the ham saarā din
shaam ko baañT ke ghar le jaayā karte the
aaj ghaTā afsurda kartī hai ham ko
ham bārish meñ ḳhuub nahāyā karte the
ek yahī ham dekheñ sab ḳhāmoshī se
ek yahī ham shor machāyā karte the
'saurabh' shab thī ek varaq saada jis par
likh likh kar ham ḳhvāb miTāyā karte the
pani mein kankar barsaya karte the
wo din jab hum lamhe zaya karte the
hoD hawa se aksar lagti thi apni
aksar us ko dhul chaTaya karte the
dekh ke hum ko rahguzar muskati thi
peD bhi aage baDh kar chhaya karte the
dhup baTora karte the hum sara din
sham ko banT ke ghar le jaya karte the
aaj ghaTa afsurda karti hai hum ko
hum barish mein KHub nahaya karte the
ek yahi hum dekhen sab KHamoshi se
ek yahi hum shor machaya karte the
'saurabh' shab thi ek waraq sada jis par
likh likh kar hum KHwab miTaya karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.