ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par DaTe rahe hain hum
ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par DaTe rahe haiñ ham
shurūa se shurūa Thiik bāñdhte rahe haiñ ham
galī meñ koī thā nahīñ jo kahtā jāgte raho
isī liye tamām raat jāgte rahe haiñ ham
bujhe bujhe se is liye ajiib lag rahe ho tum
baḌe qarīb se ye aag tāpte rahe haiñ ham
hameñ hai aur dastaras sanam-garī ke kaam par
mujassamoñ ko pattharoñ meñ Dhālte rahe haiñ ham
nikal gayā thā vo hasīn apnī zulf bāñdh kar
havā kī bāqiyāt ko sameTte rahe haiñ ham
ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par DaTe rahe hain hum
shurua se shurua Thik bandhte rahe hain hum
gali mein koi tha nahin jo kahta jagte raho
isi liye tamam raat jagte rahe hain hum
bujhe bujhe se is liye ajib lag rahe ho tum
baDe qarib se ye aag tapte rahe hain hum
hamein hai aur dastaras sanam-gari ke kaam par
mujassamon ko pattharon mein Dhaalte rahe hain hum
nikal gaya tha wo hasin apni zulf bandh kar
hawa ki baqiyat ko sameTte rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.