hum par shuur-e-bab utare gae to hain
ham par shu'ūr-e-bāb utāre ga.e to haiñ
gesū ġhazal ke thoḌe sañvāre ga.e to haiñ
khīñchā hai kahkashāoñ ne apnī taraf hameñ
lagte haiñ haath kitne sitāre ga.e to haiñ
jaarī thī jang zid kī ḳhudāoñ ke darmiyāñ
be-vaj.h log biich meñ maare ga.e to haiñ
sunte haiñ aaj shaah pe raġhbat 'atā kī hai
hotā hai kyā nasīb pukāre ga.e to haiñ
dariyā se kitnī paa.ī hai dariyā-dilī kī ḳhū
kahne ko baar baar kināre ga.e to haiñ
laatā hai kaun dekheñ abhī gauhar-e-murād
ik dauḌ hai ki saare ke saare ga.e to haiñ
dekheñ 'rashīd' saath nibhātā hai kitnā zabt
apne ḳhilāf log ubhāre ga.e to haiñ
hum par shu'ur-e-bab utare gae to hain
gesu ghazal ke thoDe sanware gae to hain
khincha hai kahkashaon ne apni taraf hamein
lagte hain hath kitne sitare gae to hain
jari thi jang zid ki KHudaon ke darmiyan
be-wajh log bich mein mare gae to hain
sunte hain aaj shah pe raghbat 'ata ki hai
hota hai kya nasib pukare gae to hain
dariya se kitni pai hai dariya-dili ki KHu
kahne ko bar bar kinare gae to hain
lata hai kaun dekhen abhi gauhar-e-murad
ek dauD hai ki sare ke sare gae to hain
dekhen 'rashid' sath nibhata hai kitna zabt
apne KHilaf log ubhaare gae to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.