Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka

Ibn e Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka

Ibn e Insha

aur to koī bas na chalegā hijr ke dard ke māroñ

sub.h honā dūbhar kar deñ rasta rok sitāroñ

jhūTe sikkoñ meñ bhī uThā dete haiñ ye aksar sachchā maal

shakleñ dekh ke saude karnā kaam hai in banjāroñ

apnī zabāñ se kuchh na kaheñge chup raheñge āshiq log

tum se to itnā ho saktā hai pūchho haal bichāroñ

jis jipsi zikr hai tum se dil ko usī khoj rahī

yuuñ to hamāre shahr meñ aksar melā lagā nigāroñ

ek zarā baat thī jis charchā pahuñchā galī galī

ham gumnāmoñ ne phir bhī ehsān na maanā yāroñ

dard kahnā chīḳh uTTho dil kahnā vaz.a nibhāo

sab kuchh sahnā chup chup rahnā kaam hai izzat-dāroñ

'inshā' ab ajnabiyoñ meñ chain se baaqī umr kaTe

jin ḳhātir bastī chhoḌī naam na lo un pyāroñ

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka

subh ka hona dubhar kar den rasta rok sitaron ka

jhuTe sikkon mein bhi uTha dete hain ye aksar sachcha mal

shaklen dekh ke saude karna kaam hai in banjaron ka

apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log

tum se to itna ho sakta hai puchho haal bichaaron ka

jis jipsi ka zikr hai tum se dil ko usi ki khoj rahi

yun to hamare shahr mein aksar mela laga nigaron ka

ek zara si baat thi jis ka charcha pahuncha gali gali

hum gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka

dard ka kahna chiKH hi uTTho dil ka kahna waza nibhao

sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daron ka

'insha' ji ab ajnabiyon mein chain se baqi umr kaTe

jin ki KHatir basti chhoDi nam na lo un pyaron ka

Source :
  • Book : Chand Nagar (Pg. 91)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now