Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai

Akbar Hyderabadi

ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    atā huī kise sanad nazar nazar baat hai

    huā hai kaun nām-zad nazar nazar baat hai

    gul o sitāra o qamar sabhī hasīn haiñ magar

    hai kaun in meñ mustanad nazar nazar baat hai

    izāfī e'tibār hai ta.ayyun-e-maqām bhī

    hai past bhī buland-qad nazar nazar baat hai

    bure bhale meñ farq hai ye jānte haiñ sab magar

    hai kaun nek kaun bad nazar nazar baat hai

    zamīñ agarche bistar-e-gul-o-saman bhī hai magar

    kisī ko hai yahī lahad nazar nazar baat hai

    koī chale tamām umr koī sirf do qadam

    kahāñ hai manziloñ had nazar nazar baat hai

    ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai

    hua hai kaun nam-zad nazar nazar ki baat hai

    gul o sitara o qamar sabhi hasin hain magar

    hai kaun in mein mustanad nazar nazar ki baat hai

    izafi e'tibar hai tayyun-e-maqam bhi

    hai past bhi buland-qad nazar nazar ki baat hai

    bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar

    hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai

    zamin agarche bistar-e-gul-o-saman bhi hai magar

    kisi ko hai yahi lahad nazar nazar ki baat hai

    koi chale tamam umr koi sirf do qadam

    kahan hai manzilon ki had nazar nazar ki baat hai

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 30)
    • Author : Akbar Hyderabadi
    • Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now