Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin

Ehsan Danish

apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin

Ehsan Danish

apnī rusvā.ī ehsās to ab kuchh bhī nahīñ

hoñT sun haiñ ḳhamoshī sabab kuchh bhī nahīñ

ye ujāloñ ke jazīre ye sarāboñ ke dayār

sehr-o-afsūñ ke sivā jashn-e-tarab kuchh bhī nahīñ

bah ga.e vaqt ke sailāb meñ jismoñ ke suhāg

ab na vo chashm na ruḳhsār na lab kuchh bhī nahīñ

reza reza hai kisī ḳhvāb-e-zar-afshāñ tilism

fasl-e-gul anjum-o-mahtāb ye sab kuchh bhī nahīñ

mere aañsū inheñ karte haiñ ujāgar kuchh aur

pahle jo log sabhī kuchh the aur ab kuchh bhī nahīñ

ham pe to sub.h se raushan thī ye shām-e-be-kaif

tum ko is shaam se andāza-e-shab kuchh bhī nahīñ

shahr-e-dil shahr-e-ḳhamoshāñ tarah hai gunjān

kitnā ābād magar shor-o-shaġhab kuchh bhī nahīñ

ye jahāñ ālam-e-asbāb hai nādāñ na bano

kaun mānegā tabāhī sabab kuchh bhī nahīñ

rañg-o-bū gul se mukar jaa.eñ to rahtā kyā hai

aag bujh jaa.e to sūraj laqab kuchh bhī nahīñ

ḳhol ḳhol hai nau-ḳhez dabistān-e-ḳhayāl

shor shor hai taḳhlīq-e-adab kuchh bhī nahīñ

gum raho gum ki yahāñ jurm hai iz.hār-e-kamāl

chup raho chup ki yahāñ nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ

merī taḳhrīb se yāroñ bhalā kyā hogā

merī pūñjī to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhī nahīñ

us taraf hai dar-e-rahmat-e-yazdāñ 'dānish'

is taraf vus.at-e-dāmān-e-talab kuchh bhī nahīñ

apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin

honT hi sun hain KHamoshi ka sabab kuchh bhi nahin

ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar

sehr-o-afsun ke siwa jashn-e-tarab kuchh bhi nahin

bah gae waqt ke sailab mein jismon ke suhag

ab na wo chashm na ruKHsar na lab kuchh bhi nahin

reza reza hai kisi KHwab-e-zar-afshan ka tilism

fasl-e-gul anjum-o-mahtab ye sab kuchh bhi nahin

mere aansu inhen karte hain ujagar kuchh aur

pahle jo log sabhi kuchh the aur ab kuchh bhi nahin

hum pe to subh se raushan thi ye sham-e-be-kaif

tum ko is sham se andaza-e-shab kuchh bhi nahin

shahr-e-dil shahr-e-KHamoshan ki tarah hai gunjaan

kitna aabaad magar shor-o-shaghab kuchh bhi nahin

ye jahan aalam-e-asbab hai nadan na bano

kaun manega tabahi ka sabab kuchh bhi nahin

rang-o-bu gul se mukar jaen to rahta kya hai

aag bujh jae to suraj ka laqab kuchh bhi nahin

KHol hi KHol hai nau-KHez dabistan-e-KHayal

shor hi shor hai taKHliq-e-adab kuchh bhi nahin

gum raho gum ki yahan jurm hai izhaar-e-kamal

chup raho chup ki yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin

meri taKHrib se yaron ka bhala kya hoga

meri punji to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhi nahin

us taraf wa hai dar-e-rahmat-e-yazdan 'danish'

is taraf wusat-e-daman-e-talab kuchh bhi nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now