Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai

Muneer Niyazi

apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    apne ghar ko vāpas jaao ro ro kar samjhātā hai

    jahāñ bhī jā.ūñ merā saaya pīchhe pīchhe aatā hai

    us ko bhī to kar dekho us haal bhī mujh hai

    chup chup rah kar dukh sahne se to insāñ mar jaatā hai

    mujh se mohabbat bhī hai us ko lekin ye dastūr hai us

    ġhair se miltā hai hañs hañs kar mujh se sharmātā hai

    kitne yaar haiñ phir bhī 'munīr' is ābādī meñ akelā hai

    apne ġham ke nashshe se apnā bahlātā hai

    apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai

    jahan bhi jaun mera saya pichhe pichhe aata hai

    us ko bhi to ja kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai

    chup chup rah kar dukh sahne se to insan mar jata hai

    mujh se mohabbat bhi hai us ko lekin ye dastur hai us ka

    ghair se milta hai hans hans kar mujh se hi sharmata hai

    kitne yar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akela hai

    apne hi gham ke nashshe se apna ji bahlata hai

    Source :
    • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 232)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now