apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja
apne āñchal meñ chhupā kar mire aañsū le jā
yaad rakhne ko mulāqāt ke jugnū le jā
maiñ jise DhūñDne niklā thā use pā na sakā
ab jidhar jī tirā chāhe mujhe ḳhushbū le jā
aa zarā der ko aur mujh se mulāqāt ke ba.ad
sochne ke liye raushan koī pahlū le jā
hādse ūñchī uḌānoñ meñ bahut hote haiñ
tajraba tujh ko nahīñ hai mire baazū le jā
jo bhī ab haath milātā hai tujhe pūchhtā hai
aa mire hāthoñ se ye lams kī ḳhushbū le jā
log us shahr meñ kyā jaane hoñ kaise kaise
merā lahja mire iḳhlās kā jaadū le jā
apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja
yaad rakhne ko mulaqat ke jugnu le ja
main jise DhunDne nikla tha use pa na saka
ab jidhar ji tera chahe mujhe KHushbu le ja
aa zara der ko aur mujh se mulaqat ke baad
sochne ke liye raushan koi pahlu le ja
hadse unchi uDanon mein bahut hote hain
tajraba tujh ko nahin hai mere bazu le ja
jo bhi ab hath milata hai tujhe puchhta hai
aa mere hathon se ye lams ki KHushbu le ja
log us shahr mein kya jaane hon kaise kaise
mera lahja mere iKHlas ka jadu le ja
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 178)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.