Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kasa-e-dard bhar gaya hoga

Syed Azhar Hussain Azhar

kasa-e-dard bhar gaya hoga

Syed Azhar Hussain Azhar

MORE BYSyed Azhar Hussain Azhar

    kāsa-e-dard bhar gayā hogā

    'ishq had se guzar gayā hogā

    na koī naam hai na koī pata

    vo bichāra kidhar gayā hogā

    din bhar āvāra phirne vaalā shaḳhs

    shaam hone pe ghar gayā hogā

    tum ne dekhā to hogā jaate hue

    is taraf yā udhar gayā hogā

    kyā ta'ajjub hai maan lo 'az.har'

    log kahte haiñ mar gayā hogā

    kasa-e-dard bhar gaya hoga

    'ishq had se guzar gaya hoga

    na koi nam hai na koi pata

    wo bichaara kidhar gaya hoga

    din bhar aawara phirne wala shaKHs

    sham hone pe ghar gaya hoga

    tum ne dekha to hoga jate hue

    is taraf ya udhar gaya hoga

    kya ta'ajjub hai man lo 'azhar'

    log kahte hain mar gaya hoga

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now